Habib Jalib

humne suna tha sahn-e-chaman mein kaif ke baadal chhae hain

Habib Jalib

Hoshiarpur, Punjab, India

1929-1993
ham ne sunā thā sahn-e-chaman meñ kaif ke bādal chhā.e haiñ
ham bhī ga.e the jī bahlāne ashk bahā kar aa.e haiñ
phuul khile to dil murjhā.e sham.a jale to jaan jale
ek tumhārā ġham apnā kar kitne ġham apnā.e haiñ
ek sulagtī yaad chamaktā dard farozāñ tanhā.ī
pūchh na us ke shahr se ham kyā kyā sauġhāteñ laa.e haiñ
so.e hue jo dard the dil meñ aañsū ban kar bah nikle
raat sitāroñ kī chhāñv meñ yaad vo kyā kyā aa.e haiñ
aa.e bhī sūraj Duub gayā be-nūr ufuq ke sāgar meñ
aaj bhī phuul chaman meñ tujh ko bin dekhe murjhā.e haiñ
ek qayāmat kā sannāTā ek balā kī tārīkī
un galiyoñ se duur na hañstā chāñd na raushan saa.e haiñ
pyaar kī bolī bol na 'jālib' is bastī ke logoñ se
ham ne sukh kī kaliyāñ kho kar dukh ke kāñTe paa.e haiñ
Top Urdushayar.com