Habib Jalib

phir dil se aa rahi hai sada us gali mein chal

Habib Jalib

Hoshiarpur, Punjab, India

1929-1993
phir dil se aa rahī hai sadā us galī meñ chal
shāyad mile ġhazal kā patā us galī meñ chal
kab se nahīñ huā hai koī sher kaam kā
ye sher kī nahīñ hai fazā us galī meñ chal
vo baam o dar vo log vo rusvā.iyoñ ke zaḳhm
haiñ sab ke sab aziiz judā us galī meñ chal
us phuul ke baġhair bahut jī udaas hai
mujh ko bhī saath le ke sabā us galī meñ chal
duniyā to chāhtī hai yūñhī fāsle raheñ
duniyā ke mashvaroñ pe na jā us galī meñ chal
be-nūr o be-asar hai yahāñ kī sadā-e-sāz
thā us sukūt meñ bhī mazā us galī meñ chal
'jālib' pukārtī haiñ vo sholā-navā.iyāñ
ye sard rut ye sard havā us galī meñ chal
Top Urdushayar.com