Neelam Malik

chashm-e-tar le ke jo us ghar se nikal jaun main

Neelam Malik

Lahore, Punjab, Pakistan

chashm-e-tar le ke jo us ghar se nikal jā.ūñ maiñ
sab badal jaa.e jo manzar se nikal jā.ūñ maiñ
zindagī mujh pe musallat hai kisī Dar kī tarah
kaise jī pā.ūñ jo is Dar se nikal jā.ūñ maiñ
maiñ yahāñ qaid huuñ mūrat kī tarah sañg-tarāsh
tū agar chāhe to patthar se nikal jā.ūñ maiñ
phir to aage ka.ī nadiyāñ ka.ī chashme hoñge
bas shab-o-roz ke asthar se nikal jā.ūñ maiñ
ḳhair mujh ko jo pukāre kabhī bāhar kī taraf
apne andar ke har ik shar se nikal jā.ūñ maiñ
dil-e-yaktā jo mirā saath gavārā hī nahīñ
ruuh ban kar tire paikar se nikal jā.ūñ maiñ
jism zindāñ hī sahī soch magar bāra-darī
jis taraf chāhūñ kisī dar se nikal jā.ūñ maiñ
Top Urdushayar.com