Habib Jalib

tu rang hai ghubar hain teri gali ke log

Habib Jalib

Hoshiarpur, Punjab, India

1929-1993
tū rañg hai ġhubār haiñ terī galī ke log
to phuul hai sharār haiñ terī galī ke log
to raunaq-e-hayāt hai to husn-e-kā.enāt
ujḌā huā dayār haiñ terī galī ke log
tū paikar-e-vafā hai mujassam ḳhulūs hai
badnām-e-rozgār haiñ terī galī ke log
raushan tire jamāl se haiñ mehr-o-māh bhī
lekin nazar pe baar haiñ terī galī ke log
dekho jo ġhaur se to zamīñ se bhī past haiñ
yuuñ āsmāñ-shikār haiñ terī galī ke log
phir jā rahā huuñ tere tabassum ko luuT kar
har-chand hoshiyār haiñ terī galī ke log
kho jā.eñge sahar ke ujāloñ meñ āḳhirash
sham.a sar-e-mazār haiñ terī galī ke log
Top Urdushayar.com