Habib Jalib

us gali ke logon ko munh laga ke pachhtae

Habib Jalib

Hoshiarpur, Punjab, India

1929-1993
us galī ke logoñ ko muñh lagā ke pachhtā.e
ek dard kī ḳhātir kitne dard apnā.e
thak ke so gayā sūraj shaam ke dhuñdlakoñ meñ
aaj bhī ka.ī ġhunche phuul ban ke murjhā.e
ham hañse to āñkhoñ meñ tairne lagī shabnam
tum hañse to gulshan ne tum pe phuul barsā.e
us galī meñ kyā khoyā us galī meñ kyā paayā
tishna-kām pahuñche the tishna-kām lauT aa.e
phir rahī haiñ āñkhoñ meñ tere shahr kī galiyāñ
Dūbtā huā sūraj phailte hue saa.e
'jālib' ek āvāra uljhanoñ kā gahvāra
kaun us ko samjhā.e kaun us ko suljhā.e
Top Urdushayar.com