vo dekhne mujhe aanā to chāhtā hogā
magar zamāne kī bātoñ se Dar gayā hogā
use thā shauq bahut mujh ko achchhā rakhne kā
ye shauq auroñ ko shāyad burā lagā hogā
kabhī na hadd-e-adab se baḌhe the diida o dil
vo mujh se kis liye kisī baat par ḳhafā hogā
mujhe gumān hai ye bhī yaqīn kī had tak
kisī se bhī na vo merī tarah milā hogā
kabhī kabhī to sitāroñ kī chhāñv meñ vo bhī
mire ḳhayāl meñ kuchh der jāgtā hogā
vo us kā saada o ma.asūm vālehāna-pan
kisī bhī jug meñ koī devtā bhī kyā hogā
nahīñ vo aayā to 'jālib' gila na kar us kā
na-jāne kyā use darpesh mas.ala hogā