pahle jin sāñchoñ se ham katrāte haiñ
vaqt ke saath inhī meñ Dhalte jaate haiñ
ek hī zardī kyuuñ mausam par chhā.ī hai
sātoñ rañg palaT kar kyuuñ nahīñ aate haiñ
ham se to bas ek masāfat saath nibhā
kaun haiñ jo umroñ kī qasmeñ khāte haiñ
din bhar us dīvār se lag ke ro.eñge
shab bhar jis ko dil kā haal sunāte haiñ
mustaqbil tālāb ki jis ke paanī meñ
andeshoñ ke kaale hañs nahāte haiñ
sub.h savere āñkhoñ se ruḳhsat ho kar
kaun nagar ko ḳhvāb bhaTakne jaate haiñ