Neelam Malik

mujhko mahsus hone laga hai KHuda pahle jaisa nahin

Neelam Malik

Lahore, Punjab, Pakistan

mujh ko mahsūs hone lagā hai ḳhudā pahle jaisā nahīñ
ye nahīñ mere kahne kā matlab ki jaisā hai achchhā nahīñ
kaise kaise na mab.hūt-kun sher nāzil hue qalb par
terī haibat ke shāyān-e-shāñ ek misra bhī utrā nahīñ
chal fanā ke safar meñ yahī raḳht hamrāh le kar chaleñ
is qadar muḳhtasar zindagī meñ to ġham ḳharch hogā nahīñ
yuuñ mayassar ko ham ne muassir kiyā ḳhud ko behtar kiyā
varna bin tere ham the akele koī aur bhāyā nahīñ
raat bhar ḳhvāb mele se ta.abīreñ ham ne ḳharīdīñ vahāñ
bik rahā thā vahī maal jis ko kabhī pahle dekhā nahīñ
mere ghar se nikaltī to hai ek rah tere ghar kī taraf
us pe pindār-e-hastī magar mere hamrāh chaltā nahīñ
vaqt puurā huā chāhtā hai magar ham adhūre abhī
kho chuke haiñ tujhe aur ḳhud ko abhī ham ne paayā nahīñ
Top Urdushayar.com