chāñd kī chāhat meñ tanhā tarsegī kaalī raat
yaad ke baasī phūloñ se mahkegī kaalī raat
raas rachā kar ḳhvāboñ se phir laakh raheñ ḳhāmosh
soī jaagī āñkhoñ se jhalkegī kaalī raat
kab ye chāhā rātoñ meñ sub.hoñ sā nuur ghule
lekin kab tak sub.hoñ par phailegī kaalī raat
terī yaad ko rokā mere dil ne dāman khīñch
ik duuje ke pahlū meñ bītegī kaalī raat
shaam ke ba.ad thakī haarī utrī hai kamre meñ
ab ik karvaT sub.h talak so.egī kaalī raat
pahle pahle badan churā.e aur phir khultī jaa.e
din se bhed chhupānā kab sīkhegī kaalī raat
is sāhir ke sehr meñ aanā bebas kā maqsūm
sub.h talak sūraj se khul khelegī kaalī raat