Neelam Malik

ghane andhere mein raushni ki kali khili hai bahut bhali hai

Neelam Malik

Lahore, Punjab, Pakistan

ghane añdhere meñ raushnī kī kalī khilī hai bahut bhalī hai
ghuTan se dam TūTne lagā to havā chalī hai bahut bhalī hai
maiñ apnī fāqa-zada sī ummīd par na kyoñ apnī jaan vārūñ
ki in dukhoñ meñ aur aise hāloñ bhī ye palī hai bahut bhalī hai
aTak rahā thā añdherā sāñsoñ meñ ḳhauf ḳhuuñ meñ gilā huā thā
ai sub.h-e-kāzib jo chhoḌ kar zinda shab Talī hai bahut bhalī hai
maiñ phir tirī ḳhair apne kaase meñ Daal luuñ ye nahīñ gavāra
ki tere dar se uThī to jo zindagī milī hai bahut bhalī hai
ye dil hai merā so is kī gunjāniyat ke haiñ muḳhtasar kavā.if
tamām bastī tirā hī ghar hai tirī galī hai bahut bhalī hai
maiñ chāñd ke paas jā ke dekhūñgī āsmāñ se pare kā manzar
rahe tajassus falak pe khiḌkī jo ye khulī hai bahut bhalī hai
Top Urdushayar.com