Naeem Zarrar Ahmad

manzil hai to ek rasta-e-dushwar mein gum hai

Naeem Zarrar Ahmad

Jhelum, Punjab, Pakistan

1965
manzil hai to ik rasta-e-dushvār meñ gum hai
rasta hai to pech-o-ḳham-e-dildār meñ gum hai
jis diin se miltā thā ḳhudā ḳhāna-e-dil meñ
mullā ke sajā.e hue bāzār meñ gum hai
ajzā-e-safar varta-e-hairat meñ paḌe haiñ
raftār abhī sāhib-e-raftār meñ gum hai
saa.il haiñ ki umDe hī chale aate haiñ paiham
vo shoḳh magar apne hī dīdār meñ gum hai
vo husn-e-yagāna hai koī shahr-e-tilismāt
har shaḳhs jahāñ rastoñ ke asrār meñ gum hai
ashḳhās ke jañgal meñ khaḌā soch rahā huuñ
ik naḳhl-e-tamannā unhī ashjār meñ gum hai
yā husn hai nā-vāqif-e-pindār-e-mohabbat
yā ishq hī āsānī-e-atvār meñ gum hai
ai kaash samajhtā koī pas-manzar-e-paiġhām
duniyā hai ki pairāya-e-iz.hār meñ gum hai
Top Urdushayar.com