Naeem Zarrar Ahmad

log laDte rahe nam aae talab-garon mein

Naeem Zarrar Ahmad

Jhelum, Punjab, Pakistan

1965
log laḌte rahe naam aa.e talab-gāroñ meñ
ham ki chup-chāp khaḌe the tire bīmāroñ meñ
zulm ke ham haiñ muḳhālif magar ik din ke liye
shor har roz nayā uThtā hai aḳhbāroñ meñ
āj-kal shikva-e-nāpaid hai jis ġhairat kā
ḳhuub biktī hai mire shahr ke bāzāroñ meñ
faḳhr kyā kam hai ki nīlāmī-e-yūsuf meñ 'na.īm'
tahī-dāmāñ the magar the to ḳharīdāroñ meñ
Top Urdushayar.com