Neelam Malik

use panw jamane ko kinara mil gaya hai

Neelam Malik

Lahore, Punjab, Pakistan

use paañv jamāne ko kināra mil gayā hai
banegā dost ab dushman ishāra mil gayā hai
bahut ro.e haiñ maañ beTe kisī ko yaad kar ke
bahal jā.egā beTe ko ġhubāra mil gayā hai
sahelī saath chalte haiñ chal us kī chhāñv meñ ham
ġhazab kī dhuup meñ ik abr-pāra mil gayā hai
vo merā ḳhud-nigar nārāz ho kar jaane vaalā
palaT aayā to maiñ samjhī dobāra mil gayā hai
safar kī samt kā maiñ ḳhud ta.ayyun kar chukī thī
na jaane tum ye kyuuñ samjhe sitāra mil gayā hai
huī pal bhar meñ ḳhākistar ta.alluq kī imārat
bhare bārūd ko jaise sharāra mil gayā hai
haiñ us ke sar-varaq pur-ḳhār phūloñ se ziyāda
hameñ aglī mohabbat kā shumāra mil gayā hai
chhupā kar zikr karnā thā mirā sheroñ meñ us ne
so us ko jal-parī kā isti.āra mil gayā hai
Top Urdushayar.com