Naeem Zarrar Ahmad

waqt par ishq-e-zuleKHa ka asar lagta hai

Naeem Zarrar Ahmad

Jhelum, Punjab, Pakistan

1965
vaqt par ishq-e-zuleḳhā kā asar lagtā hai
āḳhir-e-umr bhī āġhāz-e-safar lagtā hai
ye samundar hai magar soḳhta-jāñ shā.ir ko
kisī majbūr kā ik dīda-e-tar lagtā hai
sub.h-e-tāza hai muqaddar dil-e-māyūs Thahar
shajar-e-ummīd pe in.ām-e-samar lagtā hai
maiñ zabāñ-bandī kā ye ahd nahīñ toḌūñgā
haañ magar is dil-e-gustāḳh se Dar lagtā hai
hameñ idrāk-e-mohabbat to nahīñ hai lekin
itnā ma.alūm hai is khel meñ sar lagtā hai
Top Urdushayar.com