ġhair ke ghar sahī vo aayā to
ġham hī mere liye vo laayā to
dushmanoñ ko muaaf kar Daalā
dostoñ se fareb khāyā to
peḌ ke ghoñsloñ kā kyā hogā
ghar use kaaT kar banāyā to
phir mire sāmne thī ik dīvār
ek dīvār ko girāyā to
kis qadar zor se huī bārish
maiñ ne kāġhaz kā ghar banāyā to
kyā karoge 'na.īm' sāl-e-nau
pesh-rau kī tarah hī aayā to