Naeem Zarrar Ahmad

mujhe rifaton ka KHumar tha so nahin raha

Naeem Zarrar Ahmad

Jhelum, Punjab, Pakistan

1965
mujhe rif.atoñ kā ḳhumār thā so nahīñ rahā
tire dostoñ meñ shumār thā so nahīñ rahā
jise ab samajhte ho baar dīda-o-jān pe
kabhī rāh-e-manzil-e-yār thā so nahīñ rahā
tirī yaad bhī terī yaad thī so chalī ga.ī
tirā ġham hī merā qarār thā so nahīñ rahā
rah-e-dostī ke musāfiro zarā dekh kar
isī rah kā maiñ bhī savār thā so nahīñ rahā
vo jo pūchhte haiñ 'na.īm' kā use kyā huā
unheñ kah do un pe nisār thā so nahīñ rahā
Top Urdushayar.com