vo jaise duniyā chalā rahā hai
faqat kahe ko nibhā rahā hai
ḳhudā kā jaane hai kyā irāda
jo phir se ham ko milā rahā hai
shurūa meñ kuchh jhijhak to hogī
tavīl arsa ḳhafā rahā hai
rachā ke sāñsoñ meñ merī ġhazleñ
vo bāñsurī par sunā rahā hai
nahīñ maiñ us se ḳhafā nahīñ huuñ
jo shaḳhs mujh ko manā rahā hai
tujhe mohabbat ne Das liyā nā
ye niil sab kuchh batā rahā hai
minute kī soī se bāñdh kar vo
ghaḌī meñ ham ko ghumā rahā hai
maiñ ek nāzir vo ik musavvir
ka.ī manāzir dikhā rahā hai
hai sāmne hasht-pahlū rasta
har ik se gautam bulā rahā hai
aqab meñ hai us ke mauj-e-sarkash
habāb ko jo bachā rahā hai
koī muḳhātab nahīñ thā is kā
mirā suḳhan be sadā rahā hai
maiñ sher kahne se Dar rahī huuñ
ḳhayāl himmat bañdhā rahā hai