dil-e-bad-gumāñ ke tavahhumāt ajiib haiñ
mire naam ke ye hurūf saat ajiib haiñ
na taḳhaiyyulāt giraft-e-harf meñ aa sake
ye nuzūl-e-sher kī mushkilāt ajiib haiñ
tū talāsh kar koī aur ilāj-e-dil-e-hazīñ
ki davā-e-ishq ke muzmirāt ajiib haiñ
tire fikr ke bhī haiñ zāviye sabhī munfarid
tirī guftugū kī sabhī jihāt ajiib haiñ
ik anokhe dard ke paḌ rahe haiñ bhañvar yahāñ
abhī bahr-e-ġham meñ tamavvujāt ajiib haiñ
na faqīh koī samajh sakā na hī to sanam
ki ḳhudā se mere muāmalāt ajiib haiñ
sabhī manzaroñ ko ye dam-ba-ḳhud haiñ kiye hue
ye tirī nazar ke tahayyurāt ajiib haiñ
tirī tishnagī isī dast-e-zād kī muntazir
dil-e-ḳhush-gumāñ tirī ḳhvāhishāt ajiib haiñ