Alimullah Hali

baadalon ke beach tha main be-sar-o-saman na tha

Alimullah Hali

bādaloñ ke beach thā maiñ be-sar-o-sāmāñ na thā
tishnagī kā zahr pī lenā koī āsāñ na thā
kyā qayāmat-ḳhez thā dariyā meñ maujoñ kā hujūm
sāhiloñ tak aate aate phir kahīñ tūfāñ na thā
jaane kitnī duur us kī lahar mujh ko le ga.ī
maiñ samajhtā thā ki vo dariyā-e-be-pāyāñ na thā
har taraf patjhaḌ kī āvāzoñ kī chādar tan ga.ī
dasht meñ merī sadā kā jism bhī uryāñ na thā
is ke rañg-o-saut ke jugnū the dāman meñ 'alīm'
kho ke sab kuchh aane vaalā bhī tahī-dāmāñ na thā
Top Urdushayar.com