judā kiyā to bahut hī hañsī-ḳhushī us ne
badal diyā hai ab andāz-e-be-ruḳhī us ne
vo rañg rañg uḌā ḳhushbuoñ meñ phail gayā
jhaTak diyā hai mirā dāman-e-tahī us ne
jise sunā ke mujhe ḳhauf-e-sar-zanish sā rahā
usī kalām pe baḌh-chaḌh ke daad dī us ne
vo mere saath shurū-e-safar chalā thā magar
hujūm-e-shahr meñ lī raah aur hī us ne
huā huuñ jur.at-e-jurm-e-vafā se bhī mahrūm
sazā ye dī ki ḳhatā merī baḳhsh dī us ne
ab apnī koī sadā hai na apnā koī pata
pilā diyā hai mujhe zahr-e-āgahī us ne
dar-e-sukūt pe 'hālī' bahut hai shor-e-sadā
bapā kiyā hai vo tūfān-e-ḳhāmushī us ne