hai ġham-e-hijr na ab zauq-e-talab kuchh bhī nahīñ
aaj tum lauT ke aa.e ho ki jab kuchh bhī nahīñ
tere Thukrāne kī nisbat se hue haiñ mash.hūr
ham faqīroñ kā yahāñ nām-o-nasab kuchh bhī nahīñ
aaj ye bār-e-mulāqāt uThegā kyūñ-kar
us se milnā hai pa milne kā sabab kuchh bhī nahīñ
ek āvāz ne toḌī hai ḳhamoshī merī
DhūñDhtā huuñ to pas-e-sāhil-e-shab kuchh bhī nahīñ