safar hai zehn kā to koī rahnumā le jā
mirā sukūt na ho to marī sadā le jā
har ek samt hai dasht-e-sukūt kī vus.at
bachā ke ye ravish-e-arz-e-mudda.ā le jā
maiñ zer-e-sañg isī tīrgī meñ jī lūñgā
tū apnī narm shuāoñ kā qāfila le jā
kuchh aur chaaT le sahrā-e-gumrahī kā namak
jo aa gayā hai tū rāhoñ kā zā.iqa le jā
bikhar ke chhūT na jā.ūñ tirī giraft se maiñ
sambhāl kar mujhe ai mauj-e-ḳhush-adā le jā