sadāoñ ke jañgal meñ vo ḳhāmushī hai
ki maiñ ne har āvāz terī sunī hai
udāsī ke āñgan meñ terī talab kī
ajab ḳhushnumā ik kalī khil rahī hai
nayā rañg thā us kā kal vaqt-e-ruḳhsat
ki jaise kisī baat par barhamī hai
use de ke sab kuchh maiñ ye sochtā huuñ
use aur kyā duuñ abhī kuchh kamī hai
vahī lamha lamha lahaknā abhī tak
abhī tak usī yaad kī sholagī hai
sabīleñ mire naam kī aur bhī haiñ
magar pyaas mujh ko tirī buuñd kī hai
tirā naam luuñ sāmne sab ke 'hālī'
ye chāhat mire dil ko ab kāTtī hai