bahut hasīñ thī kabhī ye duniyā mire mutābiq
magar rahā ab na us kā chehra mire mutābiq
maiñ is liye ik daraḳht se baat kar rahī huuñ
rahegā chup yā javāb degā mire mutābiq
tire likhe ko ġhalat nahīñ kah rahī maiñ lekin
savāl ye hai ki kyoñ na likkhā mire mutābiq
yahāñ pe sab mere ḳhānvāde se āshnā haiñ
mirā ta.āruf na ho sakegā mire mutābiq
tire mutābiq maiñ terī rūdād sun chukī huuñ
nahīñ hai kirdār us meñ merā mire mutābiq
nikāl de tū hī merī āñkhoñ kī sūiyāñ ab
na aa.egā koī shāhzāda mire mutābiq
maiñ gungunātī faqat tirā naam us kī lai par
magar ye kam-baḳht dil na dhaḌkā mire mutābiq