Mirza Hadi Ruswa

nala rukta hai to sar-garm-e-jafa hota hai

Mirza Hadi Ruswa

1858-1931
naala ruktā hai to sar-garm-e-jafā hotā hai
dard thamtā hai to be-dard ḳhafā hotā hai
phir nazar jheñptī hai aañkh jhukī jaatī hai
dekhiye dekhiye phir tiir ḳhatā hotā hai
ishq meñ hasrat-e-dil kā to nikalnā kaisā
dam nikalne meñ bhī kam-baḳht mazā hotā hai
hāl-e-dil un se na kahtā thā hamīñ chuuk ga.e
ab koī baat banā.eñ bhī to kyā hotā hai
aah meñ kuchh bhī asar ho to sharar-bār kahūñ
varna sho.ala bhī haqīqat meñ havā hotā hai
hijr meñ nāla-o-fariyād se baaz aa 'rusvā'
aisī bātoñ se vo bedard ḳhafā hotā hai
Top Urdushayar.com