Mirza Hadi Ruswa

bahut se muddai nikle magar jaan-baz kam nikle

Mirza Hadi Ruswa

1858-1931
bahut se mudda.ī nikle magar jāñ-bāz kam nikle
pas-e-majnūñ hazāroñ āshiqoñ meñ ek ham nikle
nahīñ mumkin kisī se husn kī bārīkiyāñ hal hoñ
tire har tār-e-gesū meñ hamāre pech-o-ḳham nikle
ye sūrat ho to apnā ḳhātma bil-ḳhair ho jaa.e
idhar ham sar jhukā.eñ aur udhar teġh-e-do-dam nikle
hameñ armān hai us āstāñ par zindagī guzre
isī hasrat meñ jiite haiñ ki un qadmoñ pe dam nikle
Top Urdushayar.com