Neelam Malik

wal-asr zamana mere matlab ka nahin hai

Neelam Malik

Lahore, Punjab, Pakistan

val-asr zamāna mire matlab kā nahīñ hai
ye ā.ina-ḳhāna mire matlab kā nahīñ hai
kahtī haiñ na lā pā.eñgī ye tāb-e-nazāra
āñkhoñ kā bahāna mire matlab kā nahīñ hai
aa.ī huuñ tire vāste jannat se zamīñ par
varna ye Thikāna mire matlab kā nahīñ hai
is meñ hai mirā sānvī kirdār likhārī
terā ye fasāna mire matlab kā nahīñ hai
ik shaḳhs kī ḳhātir hai ye sab milnā-milānā
vaise vo gharānā mire matlab kā nahīñ hai
jī ḳhuub lagā vahshat-e-bedārī-e-shab meñ
din ḳhvāb suhānā mire matlab kā nahīñ hai
jab mujh se tire baare meñ pūchhegā zamāna
kah dūñgī divāna mire matlab kā nahīñ hai
ehsās kā 'nīlam' jo nahīñ tere bayāñ meñ
lafzoñ kā ḳhazāna mire matlab kā nahīñ hai
Top Urdushayar.com