ta.alluq kī kaḌī TuuTī nahīñ hai
umīd-e-zindagī TuuTī nahīñ hai
faqat milnā-milānā kam huā hai
hamārī dostī TuuTī nahīñ hai
baḌī āñdhī chalī hai is chaman meñ
magar koī kalī TuuTī nahīñ hai
kamandeñ pheñkiye aql o ḳhirad kī
fasīl-e-āgahī TuuTī nahīñ hai
purāne baañs ke pul kī hamāre
koī bhī aas abhī TuuTī nahīñ hai
sunā hai bāvajūd-e-zor ham ne
dhanak rāvan se bhī TuuTī nahīñ hai