ik zarūrat hai jo tahvīl tak aa pahuñchī hai
har haqīqat yahāñ tamsīl tak aa pahuñchī hai
ab uḳhuvvat pe bharosa nahīñ kartī duniyā
āgahī niyyat-e-qābīl tak aa pahuñchī hai
ai mire mūnis o ġham-ḳhvār mujhe marne de
baat ab hukm kī ta.amīl tak aa pahuñchī hai
ab suḳhan-var hī nahīñ ḳhud ko musavvir likhiye
shā.erī ab fan-e-tashkīl tak aa pahuñchī hai
koshish-e-amn-o-amān meñ hī yahāñ logoñ kī
zindagī shorish-e-tāvīl tak aa pahuñchī hai
be-hisī dekhiye is daur ke insānoñ kī
jism kyā ruuh kī tahlīl tak aa pahuñchī hai
fikr-e-'misdāq' ne hai ḳhaas masāfat kar lī
aap kī aañkh bhī is jhiil tak aa pahuñchī hai