āhaTeñ sun kar hī mar jaatī hai sahrāoñ kī ḳhaak
ab tire vahshī se Dar jaatī hai sahrāoñ kī ḳhaak
is junūn-e-ishq kī Thokar meñ aa jaane ke ba.ad
āsmānoñ meñ bikhar jaatī hai sahrāoñ kī ḳhaak
ḳhushnumā manzar bhī sab dhundhle nazar aate haiñ yaar
jab diloñ meñ bhī utar jaatī hai sahrāoñ kī ḳhaak
kaun ḳhema-zan kahāñ hai aa.i.e DhūñDeñ yahāñ
pal meñ sab kuchh ḳhaak kar jaatī hai sahrāoñ kī ḳhaak
uñgliyāñ terī pakaḌ kar sun le ai bād-e-sabā
gulshanoñ meñ bhī utar jaatī hai sahrāoñ kī ḳhaak
paañv phailātī hai ye sahrā-navardī jab mirī
har taraf 'misdāq' bhar jaatī hai sahrāoñ kī ḳhaak