vaqt ke zālim samundar meñ pareshānī ke saath
Duub jaatā hai koī kyuuñ itnī āsānī ke saath
merī sāñsoñ kī mahak kā bhī bahut charchā huā
raat jab maiñ ne gizārī raat kī raanī ke saath
maiñ vahī huuñ aur merā martaba mujh se buland
naam apnā le rahā huuñ maiñ bhī hairānī ke saath
maiñ ne to kuchh āstīñ ke saañp ginvā.e the bas
tum ne kyuuñ āñkheñ milā.ī haiñ pashemānī ke saath
karbalā vaale agar haiñ mohtaram to mohtaram
nosh mat jām-e-shahādat kījiye paanī ke saath
ik tabassum kā bharam ābād hoñToñ par kiye
jī rahe haiñ log apnī apnī vīrānī ke saath
mar gayā 'misdāq' bhī sultān-Tīpū kī tarah
dekh kar hamrāz apnā dushman-e-jānī ke saath