garm-joshī ke nagar meñ sard-tanhā.ī milī
chāñdnī us paikar-e-ḳhākī ko gahnā.ī milī
bujh gayā phir shaam ke sahrā meñ sūraj kā ḳhayāl
phir mah-o-anjum ko jī uThne kī rusvā.ī milī
phir koī misl-e-sabā aayā hai sahn-e-ḳhvāb meñ
phir mire har zaḳhm ko yādoñ kī purvā.ī milī
ik purāne naqsh ke mānind sūraj bujh gayā
shab ke shāne par sitāroñ kī ghaTā chhā.ī milī
ḳhūb-sūrat aañkh ko ik jhiil samjhā thā magar
tairne utrā to sāgar kī sī gahrā.ī milī
phir fazā meñ rach ga.ī hai zaḳhm-e-tāza kī mahak
phir mirī palkoñ ko 'shāhīn-badr' goyā.ī milī