nuuh kā tūfān ik aañsū se barpā kījiye
jī meñ aatā hai ki ab qatre ko dariyā kījiye
be-ḳhabar ban jā.iye yā ahd puurā kījiye
jis tarah se aap kā jī chāhe achchhā kījiye
īsī-e-daurāñ sahī lekin koī shāhid bhī ho
ham abhī to jī uTheñge aap ishārā kījiye
ho chukā honā thā jo kuchh jā.iye bas jā.iye
marne vaale ko na ab lillāh rusvā kījiye
phir zarā jhalkī dikhā kar ik zarā chhup jā.iye
dil ke har zarre meñ ābād ek duniyā kījiye
dil hamārā hai ham is ke haiñ azal se rāz-dār
aap ḳhud aa kar sar-e-bāzār rusvā kījiye
kaun kahtā hai ki in qissoñ ko phir dohrā.iye
dil kī ābādī miTā kar zikr-e-sahrā kījiye
rāzdārī ishq meñ 'ālim' nahīñ chhoTī sī baat
dil hī dil meñ sochtā rahtā huuñ ab kyā kījiye