daad miltī nazar-e-ahl-e-nazar se pahle
maut aatī jo kahīñ dil ko jigar se pahle
tasfiya karte na hañgām-e-sahar se pahle
pūchh lete kisī māyūs nazar se pahle
merā marnā tumheñ ho jā.egā ḳhud hī ma.alūm
dil taḌap uTThegā siine meñ ḳhabar se pahle
tum to kahte the ki maiñ dard kā qaa.il hī nahīñ
kaun chīḳhā mire nāloñ ke asar se pahle
naam jis chiiz kā hai maut jahāñ meñ mash.hūr
vāqi.a ye to huā dard-e-jigar se pahle
aaj kī raat to kuchh ....aur ḳhabar detī hai
ho munāsib to chale aanā sahar se pahle
ek bijlī sī mirī āñkhoñ ke andar kaundī
aur irāda jo huā azm-e-safar se pahle
roī majbūriyoñ par chāragaroñ kī qismat
mar gayā aap kā bīmār sahar se pahle
maiñ bhī samjhā huuñ tire naqsh-e-qadam kā matlab
maiñ bhī guzrā thā isī rāhguzar se pahle