aap dil khol kar be-dād pe be-dād kareñ
aur ham zabt se leñ kaam na fariyād kareñ
hashr meñ us kī nazar ho ga.ī nīchī ham se
ho sake jin se vo ab shikva-e-jallād kareñ
kuchh to farmā.iye insāf agar hai koī chiiz
aap ko dil se bhulā.eñ to kise yaad kareñ
dil-e-betāb sambhaltā hī nahīñ siine meñ
ek mazlūm kī ab aap kuchh imdād kareñ
aaj ik qabr pe 'ālim' ye likhā dekhā thā
sākin-e-gulshan-e-hastī na mujhe yaad kareñ