Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi

KHatm hoga ab safar pesh-e-nazar hai ru-e-dost

Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1882-1952
ḳhatm hogā ab safar pesh-e-nazar hai rū-e-dost
aa rahī hai aaj kī manzil se mujh ko bū-e-dost
aage aage hasrateñ ....aur pīchhe pīchhe maiñ chalā
is tarah ghar se nikal kar jā rahā huuñ sū-e-dost
pahle to dil ne jigar kī jaan nā-qadrī se lī
DhūñDhtā phirtā hai aalam bhar meñ ab pahlū-e-dost
vāh-rī qismat ki gardūñ par sahar hone lagī
go paḌe the mere baazū par abhī gesū-e-dost
ḳhud-baḳhud merī rag-e-gardan phaḌak uThtī hai aaj
kar rahā hai koī zikr-e-quvvat-e-bāzū-e-dost
lafz jo dil kī talab meñ thā vo bilkul sehr thā
bātoñ hī bātoñ meñ mujh par chal gayā jādū-e-dost
koī dīvāna chalā hai hashr meñ is vaz.a se
chaak tā-dāman garebāñ muñh pe ḳhāk-e-kū-e-dost
dil se mujh ko saaf saaf āḳhir ye kah denā paḌā
ab vahī saḳhtī bhī jhele jo bigāḌe ḳhū-e-dost
ho agar zinda tum ai 'ālim' to ab hoshyār ho
kab talak soyā karoge thak gayā zānū-e-dost
Top Urdushayar.com