Shaheen Badr

ghuncha ghuncha mausam-e-rang-e-ada mein qaid tha

Shaheen Badr

ġhuncha ġhuncha mausam-e-rañg-e-adā meñ qaid thā
dil vo nādāñ thā ki apnī hī anā meñ qaid thā
aañkh kī momī galī pyāsī thī pyāsī hī rahī
shabnamī bādal zamāne kī havā meñ qaid thā
be-ruḳhī kī ghar kī dīvāroñ pe thī chūnā-kalī
zarra zarra ajnabiyyat kī fazā meñ qaid thā
āsmāñ ke taaq par sajte rahe ik ik charāġh
maiñ zamīñ kā chāñd apne hī ḳhalā meñ qaid thā
raat ke ifrīt ne shab-ḳhūn maarā be-tarah
kārvān-e-sub.h zanjīr-e-duā meñ qaid thā
kaun thā vo jis ne apne ḳhuun se likkhā thā ḳhat
kis ke dil kā rañg is barg-e-hinā meñ qaid thā
aañkh ke āñgan se ḳhvāboñ kā parinda uḌ gayā
raat bhar 'shāhīn' yādoñ kī chitā meñ qaid thā
Top Urdushayar.com