jaur-e-zamīñ na thā sitam-e-āsmāñ na thā
vo bhī thā vaqt jab ki ġham-e-do-jahāñ na thā
koī bhī lutf-e-zīst tah-e-āsmāñ na thā
duniyā mirī ḳharāb thī tū mehrbāñ na thā
suntā ye kaun zabt pe qaabū nahīñ hai ab
achchhā huā jo koī mirā rāz-dāñ na thā
dīvāngī ne baat banā dī ki us se maiñ
zid kar rahā huuñ ab ki ye merā bayāñ na thā
badnām ḳhud hue ho zabāñ se nikāl kar
merā sivā tumhāre koī rāz-dāñ na thā
sajdoñ kī daad mil ga.ī bāb-e-qubūl se
maanā nazar ke sāmne vo āstāñ na thā
māyūsī-e-nazar ke manāzir haiñ ḳhaufnāk
phir aap hī kaheñge mujhe ye gumāñ na thā
vo mere sāmne the maiñ thā un ke sāmne
jab tak ki merā raaz kisī par ayaañ na thā
lillāh ham se qissa-e-'ālim' na pūchhiye
sunte haiñ laash par koī bhī nauha-ḳhvāñ na thā