achchhā huā ye vaqt to aanā zarūr thā
muddat se kashmakash meñ dil-e-nā-subūr thā
duniyā kā hoshiyār baḌā zī-shu.ūr thā
jab tak mire kahe meñ dil-e-nā-subūr thā
merā qusūr merī nazar kā qusūr thā
vo jis qadar qarīb thā utnā hī duur thā
achchhā huā jo dil kī taḌap aur baḌh ga.ī
jaanā bhī un kī bazm meñ mujh ko zarūr thā
us be-nishāñ kā aaj nishāñ DhūñDte haiñ aap
suniye vahī jo nāzish-e-ahl-e-qubūr thā
vo daur merī umr kā thā yādgār daur
jis meñ ki tere husn pe mujh ko ġhurūr thā
le aayā kaun gor-e-ġharībāñ meñ khīñch kar
kosoñ abhī maiñ manzil-e-maqsad se duur thā
vaa.iz ne zikr-e-va.ada-e-firdaus kyuuñ kiyā
us rind se jo nashsha-e-vahdat se chuur thā
ab aa ke merī laash se farmā rahe haiñ vo
'ālim' ye terī aql-o-farāsat se duur thā