āḳhir na chalī koī bhī tadbīr hamārī
ban ban ke bigaḌne lagī taqdīr hamārī
ye ishq ke hāthoñ huī tauqīr hamārī
bāzāroñ meñ bikne lagī tasvīr hamārī
is tarah ke din raat dikhātī hai karishme
taqdīr pas-e-parda-e-tadbīr hamārī
jaldī na karo dhaar hai ḳhanjar pe abhī to
ho lene do sābit koī taqsīr hamārī
kuchh ḳhuun kī chhīñTeñ kahīñ ashkoñ kī namī hai
jaatī hai ajab shaan se tahrīr hamārī
har samt dahak uThtī hai ik aag jahāñ meñ
lo detī hai jab raat ko zanjīr hamārī
bas Daal lo chehre pe naqāb apne ḳhudārā
be-rabt huī jaatī hai taqrīr hamārī
ye kahte hī bas mar gayā nākām-e-mohabbat
tum bhī na hamāre hue taqdīr hamārī
'ālim' falak-e-tafraqa-pardāz kā Dar hai
bante hī bigaḌ jaa.e na taqdīr hamārī