kahnā na maanā kūcha-e-qātil meñ rah gayā
achchhā huā jo dil kisī mushkil meñ rah gayā
kyā pūchhte ho aise musāfir kī sarguzisht
jis ko ki dil bhī chhoḌ ke manzil meñ rah gayā
niklā thā ban sañvar ke bahut chaudhvīñ kā chāñd
phir bhī vo tere ruḳh ke muqābil meñ rah gayā
qātil ne teġh myaan meñ kuchh soch kar rakhī
thoḌā sā jab ki dam tan-e-bismil meñ rah gayā
dirham milā bhī mun.im-e-kaj-ḳhulq se agar
ik daaġh ban ke vo kaf-e-sā.il meñ rah gayā
itnā batā de us ke uThāne se fā.eda
tasvīr ban ke jo tirī mahfil meñ rah gayā
kyā jaane bahr-e-ishq kī hālat vo bad-nasīb
dam toḌ kar jo dāman-e-sāhil meñ rah gayā
fikr us kī rañj us kā ummīd us kī kuchh na pūchh
jo sar jhukā ke kūcha-e-qātil meñ rah gayā
tābīr-e-ḳhvāb zulf-e-musalsal thī kyā yahī
'ālim' jakaḌ ke maiñ jo salāsil meñ rah gayā