shām-e-taklīf kī duniyā meñ sahar ho to sahī
haa.e kam-baḳht kahīñ dard-e-jigar ho to sahī
baiThne vaale na baiTheñge kabhī mahfil meñ
o sitamgar tire dil meñ mirā ghar ho to sahī
dil-e-betāb kā milnā nahīñ mushkil lekin
haath bhar kā kisī siine meñ jigar ho to sahī
ham ye samjheñge ki dil thā hī nahīñ siine meñ
un kī duzdīda nigāhoñ kā asar ho to sahī
chhup gayā āñkhoñ se ik nuur bas itnā kah kar
kyā batāne meñ harj thā koī ghar ho to sahī
kah ke ye phir ga.ī thiiñ kāhkashāñ se āñkheñ
tujh se miltī huī vo rāhguzar ho to sahī
phir dikhā.ūñgā maiñ anmol javāhar 'ālim'
mirī qismat se koī ahl-e-nazar ho to sahī