Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi

ho chuka jo ki muqaddar mein tha darman hona

Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1882-1952
ho chukā jo ki muqaddar meñ thā darmāñ honā
ab tire haath hai mushkil mirī āsāñ honā
thā jo maqsūm meñ sharminda-e-ehsāñ honā
ġhair ke haath rahā dafn kā sāmāñ honā
husn kā ishq kī vaadī meñ numāyāñ honā
ramz thā din ko sar-e-tūr charāġhāñ honā
lazzat-e-dard-e-jarāhat to mire dil se na pūchh
pahlū-e-zaḳhm meñ lāzim thā namak-dāñ honā
ik qayāmat kā samāñ thā tirā ai sub.h-e-vatan
parda-e-shām-e-ġharībāñ kā numāyāñ honā
ḳhāna-barbādiyāñ har samt se ghere haiñ mujhe
dar-o-dīvār pa likkhā hai bayābāñ honā
imtihāñ-gāh-e-mohabbat meñ na jaane kyā ho
qahr kā sāmnā hai teġh kā uryāñ honā
aa rahī haiñ ye umīdoñ kī sadā.eñ paiham
go safar saḳht hai lekin na hirāsāñ honā
merī turbat bhī banī aisī zamīñ pe 'ālim'
jis kī taqdīr meñ likkhā thā bayābāñ honā
Top Urdushayar.com