Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi

ghir ke ghabraate na the hijr ke aazaron mein

Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1882-1952
ghir ke ghabrāte na the hijr ke āzāroñ meñ
jab ki tāqat thī kabhī aap ke bīmāroñ meñ
le ke ham dil ga.e kahte ye jafā-kāroñ meñ
kaun letā hai ise itne ḳharīdāroñ meñ
dī rihā.ī mujhe sayyād ne ai vaa.e nasīb
daḳhl jab fasl-e-ḳhizāñ kā huā gulzāroñ meñ
mere marne kā huā rañj har ik qaidī ko
ki hai kohrām bapā tere giraftāroñ meñ
dast-e-nāzuk se mujhe jaam diyā saaqī ne
aabrū baḌh ga.ī ....aur aaj se mai-ḳhvāroñ meñ
ātish-e-hijr se kyā Dar jo tirī marzī se
raat kar deñge basar loT ke añgāroñ meñ
pheñk denā na kahīñ bhuul ke hañgām-e-sahar
dil bhī lipTā hai inhīñ sūkhe hue hāroñ meñ
nāla-e-bulbul-e-shaidā na jise phāñd sake
ye bulandī to nahīñ baaġh kī dīvāroñ meñ
niklā vo tīr-e-nigah bhī to ye kah kar niklā
merā dāman na ulajh jaa.e kahīñ ḳhāroñ meñ
yuuñ sunā.ī ga.ī hai us ko ḳhabar 'ālim' kī
mar gayā koī tire taaza giraftāroñ meñ
Top Urdushayar.com