lījiye ḳhatm huā gardish-e-taqdīr kā rañg
aa.iye dekhiye miTtī huī tasvīr kā rañg
ham ne jhelī haiñ zamāne meñ kashish kī kaḌiyāñ
ham se pūchhe koī bigḌī huī taqdīr kā rañg
zikr-e-tadbīr abas fikr-e-rihā.ī be-sūd
jab ki miTtā nazar aane lagā taqdīr kā rañg
ham bhī aa.e haiñ kafan bāñdh ke sar se qātil
dekhnā hai tirī chaltī huī shamshīr kā rañg
kyā batā.ūñ maiñ tumheñ soz-e-darūñ kī had ko
din meñ sau baar badal jaatā hai zanjīr kā rañg
uf re vo zor-e-javānī ki ilāhī tauba
aa.ina toḌ ke niklā tirī tasvīr kā rañg
ham samajhte haiñ zamāne kī ravish ko 'ālim'
ham ne dekhā hai badalte hue taqdīr kā rañg