kisī hasrat-zada ne ḳhud-kushī manzūr kī dil se
sadā labbaik kī sun kar zamīn-e-kū-e-qātil se
ḳhudā ke vāste dam bhar to ai bād-e-ajal tham jā
ki le luuñ kuchh havā maiñ dāman-e-shamshīr-e-qātil se
Thaharnā o dil-e-betāb phir tū bhī to siine meñ
nikal aa.e taḌap kar mauj jab āġhosh-e-sāhil se
zamīñ se āsmāñ tak merī betābī kā charchā hai
sabaq letī hai bijlī aa ke mere qalb-e-bismil se
koī tadbīr socho taaki dil aa jaa.e qaabū meñ
kahīñ maiñ qaid ho saktā huuñ in tauq-o-salāsil se
abhī dekho to merī mashq kis had tak pahuñchtī hai
banā lūñgā kabhī tum ko bhī apnā jazb-e-kāmil se
girā thā qatra-e-avval jo mere ḳhūn-e-nāhaq se
uThī thī surḳh ik āñdhī zamīn-e-kū-e-qātil se
vo ab aate hī hoñge aur yaañ par aa ke baiTheñge
ḳhudāvandā ye bāteñ kab talak 'ālim' kare dil se