Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi

duniya-e-gham ko zer-o-zabar kar sake to kar

Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1882-1952
duniyā-e-ġham ko zer-o-zabar kar sake to kar
rahmat kī mujh pe ek nazar kar sake to kar
ai dil tū aisī aah agar kar sake to kar
duniyā udhar kī aaj idhar kar sake to kar
ai āh-e-barq-rez tujhe roktā hai kaun
us be-ḳhabar ko merī ḳhabar kar sake to kar
mash.hūr hai ki ishq kī rāheñ haiñ ḳhaufnāk
himmat se pahle pūchh safar kar sake to kar
aariz haiñ tere zulfeñ bhī terī kisī se kyā
ik jā pe jam.a shām-o-sahar kar sake to kar
nādāñ hadīs-e-ishq ke ma.anī kuchh aur haiñ
qaabū meñ dil ko apne agar kar sake to kar
ai aah tū hī hausla apnā nikāl le
us sañg-dil ke dil pe asar kar sake to kar
'ālim' jahān-e-ishq ki dushvāriyāñ na pūchh
dil ko jo rāzdār-e-jigar kar sake to kar
Top Urdushayar.com