maiñ sham.a-e-bazm-e-ālam-e-imkāñ kiyā gayā
insāniyat ko dekh ke insāñ kiyā gayā
ab mere imtihān kā sāmāñ kiyā gayā
ya.anī supurd-e-ālam-e-imkāñ kiyā gayā
mahfūz maiñ ne rakkhe junūñ ke tabarrukāt
dāman agar phaTā to garebāñ kiyā gayā
tai kar ke irtiqā ke manāzil ko shauq se
pahuñchā jab apne had pe to insāñ kiyā gayā
sach pūchhiye to kyā thā faqat ek ḳhār-zār
mere liye jahāñ ko gulistāñ kiyā gayā
dariyā to aur bhī the zamāne meñ be-shumār
āb-e-hayāt chashma-e-haivāñ kiyā gayā
kuchh aur raushnī kā baḌhā husn yā nahīñ
fānūs meñ jo sho.ale ko pinhāñ kiyā gayā