myaan se terā agar ḳhanjar nikal kar rah gayā
mere bhī dil meñ baḌā armāñ sitamgar rah gayā
kyā faqat kūche meñ tere merā bistar rah gayā
balki mujh se chhūT kar dil hī kahīñ par rah gayā
mai-kashoñ ke daur meñ baiThe the ham bhī bā-nasīb
ab to ḳhālī haath meñ saaqī ke sāġhar rah gayā
mere kis armāñ ne mere qatl se rokā tujhe
jo kamar se tere yuuñ ḳhanjar nikal kar rah gayā
dar tak us ke maiñ pahuñch jā.ūñgā ye kahtā huā
tere kūche meñ mirā bhūle se bistar rah gayā
maut aa.ī hai mujhe lene ko ye kah de koī
rahne vaalā mar gayā ujḌā huā ghar rah gayā
vā.e-nākāmī ki uḌne bhī na paayā thā abhī
bāñdhte hī naama bāzū-e-kabūtar rah gayā
dil kī māyūsī na pūchho jab vo pahlū se uThe
kar hī kyā saktā thā taḌpā aur taḌap kar rah gayā
sab ko lauh-e-qabr merā bhī yuuñ hī degī nishāñ
aa.ine se jis tarah nām-e-sikandar rah gayā
ishq us ke gesuoñ kā kyā huā 'ālim' mujhe
saare aalam kā jo saudā thā mire sar rah gayā