Zakir Khan Zakir

kabhi azabon mein bas rahi hai kabhi ye KHwabon mein kaT rahi hai

Zakir Khan Zakir

Malegaon, Maharashtra, India

1975
kabhī azāboñ meñ bas rahī hai kabhī ye ḳhvāboñ meñ kaT rahī hai
ye muḳhtasar sī hai zindagī jo hazār ḳhānoñ meñ baT rahī hai
kahīñ pe ḳhushiyoñ kī bārisheñ haiñ kahīñ pe naġhmāt-e-aish-o-mastī
magar ġharīboñ ke gulshanoñ se ḳhizāñ hī baḌh kar lipaT rahī hai
kahāñ hai jazbe mohabbatoñ ke kahāñ hai rasm-e-vafā-parastī
milī thī tahzīb kī badaulat vahī mohabbat to ghaT rahī hai
lage haiñ baḌhne nazar nazar meñ fahāshiyoñ ke tamām sapne
saroñ pe sāya-fagan thī kal tak ridā hayā kī simaT rahī hai
jo sin-rasīda shajar the saare jaḌoñ se apnī ukhaḌ rahe haiñ
zamīñ ke rishtoñ kī chhāñv yaaro saroñ se apne bhī chhaT rahī hai
kise sunā.eñge ab vo 'zākir' ki chāhatoñ meñ kashish nahīñ hai
nazar se ojhal maiñ ho rahā huuñ nigah se vo bhī to haT rahī hai
Top Urdushayar.com